Bhare Hain Aankh Men Aansu song lyrics | Sara Jahan Hamara
Singer - Asha Bhosle, Mukesh
Music By - Babul
Lyricist - Anjum Jaipuri
Movie - Sara Jahan Hamara (1961)
Actor - Azra, Heeralal, Jankidas, Prem Nath,
Rajeshwari, Shyama
vo kyaa bichhade hai humse zindagi kam hoti haati hai
bhare hai aankh me aansu, khushi kam hoti jaati hai
vo kyaa bichhade hai humse zindagi kam hoti haati hai
bhare hai aankh me aansu
kaha jaaye kidhar jaaye nigaaho me andhera hai
kinaara hath aaya tha ke fir tufa ne ghera hai
tamannaa zindagi ki ab to dil me soti jaati hai
bhare hai aankh me aansu
tadapna hai tadap lenge, tadapne se nahi darte
na ruswa ho koi hum isliye aahen nahi bharte
bala se jindgi me roshni kam hoti jati hai
bhare hai aankh me aansu
muqaddar ban ke bigdaa hai gilaa duniyaa se kyaa kije
hamaraa dil dhadkataa hai zaraa aawaz to dije
tumhara naam le le kar mohabbat roti jaati hai
bhare hai aankh me aansu, khushi kam hoti jaati hai
vo kyaa bichhade hai humse zindagi kam hoti haati hai
bhare hai aankh me aansu
Post a Comment